chand gile bhula diye chand se darguzar kiya

chand gile bhula diye chand se darguzar kiya
qissa-e-gham tawil tha jaan ke mukhtasar kiya

jhut nahin tha ishq bhi zist bhi thi tujhe aziz
main ne bhi apni umr ko apne liye basar kiya

jaise bhi tere khwab hon jo bhi tere sarab hon
main ne to ret odh li main ne to kam safar kiya

teri nigah-e-naz ka lutf-o-gurez ek sath
shauq tha kuchh agar raha ranj tha kuchh agar kiya

tut ke phir se jud gaya khwab ka zard silsila
main ne tere firaq ko nind mein hi basar kiya

rah bahut tawil thi rah mein ek fasil thi
is ko bhi mukhtasar kiya us mein bhi ek dar kiya

hum to ajib log the hum ko hazar rog the
khub kiya jo aap ne ghair ko ham-safar kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close