meri aankhon mein jab bhi tere manzar baiTh jate hain

meri aankhon mein jab bhi tere manzar baith jate hain
to in khali safinon mein samundar baith jate hain

kaha kis ne thikane par qalandar baith jate hain
ba-zahir phirte rahte hain par andar baith jate hain

mujhe duniya ke tanon par kabhi ghussa nahin aata
nadi ki tah mein ja ke sare patthar baith jate hain

yun uth uth kar hamara bolna dikhlae mahrumi
wo jin ko yar ho jae mayassar baith jate hain

hamin ko sham ne tanha rakha warna ye wo pal hain
ki din aur raat bhi milne ufuq par baith jate hain

ai aawara khayalo ashk-bari mein to ruk jao
parinde bhi to barish mein simat kar baith jate hain

hamara aur un ka rabt hai bas haziri tak hi
wo rasman nam lete hain hum uth kar baith jate hain

bade charche hain 'alam' aap ki khana-kharabi ke
khuda ka shukr hai maqte mein aa kar baith jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close