chand kaise kisi tare mein sama jaega phir bhi ummid ko zid hai ki wo aa jaega kya khabar thi meri raaton ki wo ninden le kar jugnuon ko meri palkon pe saja jaega gham ke sahra mein bikhar jaun main tinkon ki tarah ek jhonka bhi ye tufan utha jaega apna har lafz utarega mere zehan mein phir dil mein jo baat chhupi hai wo bacha jaega 'mina' chhanw ki mohabbat mein na sarshaar raho chadhta suraj abhi sae ko ghata jaega