zalim hai wo aisa ki jafa bhi nahin karta

zalim hai wo aisa ki jafa bhi nahin karta
raste se bichhadne ka gala bhi nahin karta

har jurm-o-khata se mere waqif hai wo phir bhi
tajwiz mare nam saza bhi nahin karta

insan hai wo koi farishta to nahin hai
hairat hai magar koi khata bhi nahin karta

har shakhs se wo hath mila leta hai rasman
lekin wo kabhi dil se mila bhi nahin karta

waise to bana rahta hai wo putla wafa ka
kya haal hai mera wo pata bhi nahin karta

is taur se us ne mujhe barbaad kiya hai
aise to zamane mein khuda bhi nahin karta

'firdaus' se milna ho to maikhane mein dhundo
wo shakhs to ab ghar mein raha bhi nahin karta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close