charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha hamein to ho ke saf-e-dushmanan se jaana tha ye dil ye shahr-e-wafa kab use pasand aaya wo be-qarar tha us ko yahan se jaana tha nazar mein rakkha nahin ek bhi sitara tera ki khak-zad the hum aasman se jaana tha kisi bahane sahi zindagi ka qarz utra hamein to waise bhi ek roz jaan se jaana tha nadi mein rah ke chatanon se darguzar karna ye hum ne fitrat-e-mauj-e-rawan se jaana tha