kya koi samjhe mere haalat jab kahta hun main ek musalsal raushni ke sae mein rahta hun main jab hawa chalti hai udta hun mukhalif samt mein aur jab tham jae tab apni taraf bahta hun main tere mere lahje ka ye farq kitna saf hai tu mujhe kahti hai tu aur main tujhe kahta hun main aap se main khush hun to ye aap par ehsan hai ek aziyyat hai khushi bhi hans ke jo sahta hun main sham ke dhalne se pahle main kabhi pita nahin ye bhi sach hai dopahar se tishna-lab rahta hun main kuza-gar ye sochta hai ye usi ka kaam hai is saliqe se kabhi banta kabhi dhahta hun main