charagh hath mein tha tir bhi kaman mein tha main phir bhi haar gai tu jo darmiyan mein tha main aasman ki hadon ko bhi par kar leti magar wo khauf jo hael meri udan mein tha thi zakhm zakhm magar khud ko tutne na diya samundaron se siwa hausla chattan mein tha badal bhi sakta hai akhbar ki khabar ki tarah tera ye wasf bhala kab mere guman mein tha akela chhod diya dhup mein safar ke liye us ek shakhs ne jo dil ke saeban mein tha yaqin tujh pe bha kis tarah main kar leti tazad had se ziyaada tere bayan mein tha