charaghon ke bujhane ko hawa be-iKHtiyar aai

charaghon ke bujhane ko hawa be-ikhtiyar aai
gulabon ki mahak bikhri to aawaz-e-sharar aai

bagulon ne safar mein aandhiyon ka aasman dekha
magar ek fakhta apne shajar tak be-ghubar aai

jise tu ne ujala jaan kar chehre pe likkha tha
wahi shohrat teri ruswaiyon ke ham-kanar aai

andheron mein mujhe khud ek sitara dhundne aaya
ki shahr be-hunar se ek sada-e-e'tibar aai

meri aankhon mein jitne rang the sab jal gae 'jazib'
magar wo mujh se milne jab bhi aai be-qarar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close