na main haal-e-dil se ghafil na hun ashk-bar ab tak

na main haal-e-dil se ghafil na hun ashk-bar ab tak
meri bebasi pe bhi hai mujhe ikhtiyar ab tak

mere bagh-e-dil pe aakhir ye bahaar bhi sitam hai
jo gulab hum ne boe wo hain khar-dar ab tak

koi aas mujh ko roke teri justuju se kafir
main agarche ho chuka tha kabhi sharmsar ab tak

ye nasib hi nahin tha ki main apna haal ji lun
main hun apni khastagi ka khudi sogwar ab tak

jo bahae chand qatre jo sajae kuchh tabassum
mujhe aisi ek khushi ka raha intizar ab tak

ye ajib dastan hai mere be-niyaz dil ki
jo use samajh na paya hai usi se pyar ab tak

main kisi ke ashk pochhun to wo gham-gusar mera
ye samajh ke dard dhoya main ne bar bar ab tak

main kise kahun ai 'baaligh' mera gham-nawaz tu hai
meri bekasi ka kis ko hua e'tibar ab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close