chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish gosha-e-dil ke qarin kaun hai aagha shorish sher-o-insha ki bahaaren hain bahaaren jis se wo bahaaron se hasin kaun hai aagha shorish jis pe be-tul khazane bhi luta ke na hun ser be-baha durr-e-samin kaun hai aagha shorish jis ki jaankahi-e-isar se zindan bhi tha tur wo darakhshanda nagin kaun hai aagha shorish kis ki bebaki-e-kirdar hai iman afroz ghairat-e-dair-nashin kaun hai aagha shorish jis ko europe ka muqamir na kabhi jit sake nard-e-na-said-e-makin kaun hai aagha shorish jis jawan-fikr ki taqrir se baatil larze wo jawan azm-o-yaqin kaun hai aagha shorish kis ki kirnon mein nae sanehe padh sakte hain hind ki tab-e-jabin kaun hai aagha shorish azm-e-isar ka ek paikar-e-bedar-o-buland hamdam-e-zar-o-hazin kaun hai aagha shorish puchha saqi se mai-e-tund ne masti chillai mard-e-painda-tarin kaun hai aagha shorish shorishen aap ki hain mani-e-nau se labrez amn-e-alam ka amin kaun hai aagha shorish