kya kahen kya husn ka aalam raha wo rahe aur aaina maddham raha zindagi se zindagi ruthi rahi aadmi se aadmi barham raha rah gai hain ab wahan parchhaiyan ek zamane mein jahan aadam raha pas rah kar bhi rahe hum dur dur is tarah us ka mera sangam raha tu mere afkar mein har pal rahi main tere ehsas mein har dam raha ji rahe the hum to duniya thi khafa mar gae to der tak matam raha