chashm-e-nam kuchh bhi nahin aur sher-e-tar kuchh bhi nahin

chashm-e-nam kuchh bhi nahin aur sher-e-tar kuchh bhi nahin
ab yahan khun-e-jigar naqsh-e-hunar kuchh bhi nahin

hai sabhi kuchh mehrban na-mehrban lafzon ka pher
zindagi mein mo'tabar na-mo'tabar kuchh bhi nahin

dil se dil ko rah kaisi hai ye husn-e-ittifaq
warna duniya mein mohabbat ka asar kuchh bhi nahin

jis hunar ko log samjhenge kabhi lal-o-gohar
aaj ke bazar mein aisa hunar kuchh bhi nahin

ahl-e-iman ka aqida hai khuda ke bab mein
hai wahi sab kuchh jo ta-hadd-e-nazar kuchh bhi nahin

apne apne faede ki jang jari hai yahan
chashm-e-bina mein nizam-e-khair-o-shar kuchh bhi nahin

ai sukut-e-la-makan mein baithne wale bata
kya jahan-e-chaar-su ka shor-o-shar kuchh bhi nahin

har taraf se zulmaton ka ek sail-e-be-iman
is jahan mein hasil-e-fikr-o-nazar kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close