dilon ke aaine dhundle paDe hain

dilon ke aaine dhundle pade hain
bahut kam log khud ko jaante hain

khizan ke khushk patton ko na chhedo
thake-mande musafir so rahe hain

hamari gham-gusari mein shab-e-gham
charagh aahista aahista jale hain

nishan pata nahin koi kisi ka
sabhi ek dusre ko dhundte hain

bas ek mauj-e-hawa-e-gham hai kafi
irade kya gharaunde ret ke hain

khuda dil ka nagar aabaad rakhe
hazaron tarah ke gham pal rahe hain

shab-e-mahtab yaaden gul-rukhon ki
safine mauj-e-khun mein tairte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close