chehre jitne rup badalta rahta hai aaine mein naqs nikalta rahta hai zehn pe badhta jata hai sadiyon ka dabaw lamha kaise karb mein dhalta rahta hai dil hi nahin raushan to din kya niklega suraj to tarikh badalta rahta hai yaadon tanhai se baaten karti hain sannata aawaz badalta rahta hai ek lamhe ki haqiqat tak jaane ke liye khwab kai sadiyon tak chalta rahta hai