chhod kar wo hum ko tanha kis jahan mein ja basa lakh us ko milna chaha par raha wo na-rasa sach hi kahta tha hamein wo chhod jab main jaunga mujh ko dhunda tum karoge har gali mein ja-ba-ja tab hamein dikhlawa lagta tha wo matha chumna aaj jis ke waste hai dil mein mere ishtiha chhod kar jab wo gaya tab sare dushman ho gae phir hamein ruswa kiya tha mil ke sab ne narawa tere hote to na himmat thi kisi ki kuchh kahe baad tere sab ke lahje ho gae the narawa kis tarah tuti qayamat hum se mat ye puchhna ab nahin hai sabr baqi dard ki hai intiha ai khuda shikwa nahin 'sail' ko teri zat se man meri ko bakhsh de tu tujh se hai bas ye dua