sahar se raat ki sargoshiyan bahaar ki baat jahan mein aam hui chashm-e-intizar ki baat dilon ki tishnagi jitni dilon ka gham jitna usi qadar hai zamane mein husn-e-yar ki baat jahan bhi baithe hain jis ja bhi raat mai pi hai unhi ki aankhon ke qisse unhi ke pyar ki baat chaman ki aankh bhar aai kali ka dil dhadka labon pe aai hai jab bhi kisi qarar ki baat ye zard zard ujale ye raat raat ka dard yahi to rah gai ab jaan-e-be-qarar ki baat tamam umr chali hai tamam umr chale ilahi khatm na ho yar-e-gham-gusar ki baat