chhodiye chhodiye ye baaten to afsane hain hum bhi diwane hain jo aap ke diwane hain mar ke bhi aap ko ruswa nahin hone denge jal ke bad-nam jo karte hain wo parwane hain aaj insan ne bhula dale hain yazdan ke karam hum ne to zulm bhi ehsan tere jaane hain yun to sae ki tarah sath wo rahte hain mere phir bhi mahsus ye hota hai wo begane hain mera izhaar-e-mohabbat na samajh pae aap ye mere dukh ye mere dard to anjaane hain