sine mein raaz-e-ishq chhupaya na jaega ye aag wo hai jis ko dabaya na jaega sun lijiye ki hai abhi aaghaz-e-ashiqi phir hum se apna haal sunaya na jaega ab sulh-o-ashati ke zamane guzar gae ab dosti ka hath badhaya na jaega hum aah tak bhi la na sakenge zaban par wo ruth jaenge to manaya na jaega wo dur hain to dil ko hai ek iztirab sa wo aaenge to aap mein aaya na jaega