chhoTi chhoTi baaton mein aankhen bhar aati hain

chhoti chhoti baaton mein aankhen bhar aati hain
ya to hum thode pagal hain ya jazbaati hain

sachcha jhuta nek aur bad hain mere taaruf sab
ek hi jism mein kitni ruhen gasht lagati hain

suna hai us talab ka pani bada nashila hai
suna hai us mein pariyan aa kar roz nahati hain

kuchh to dard diye hain mujh ko duniya walon ne
lekin kuchh aise gham hain jo mere zati hain

is bartan ka maila pani amrit jaisa hai
is mein nannhi chidiyan aa kar pyas bujhati hain

aa pahuncha hun tanhai ke aise jangal mein
jis mein khud apni aawazen laut ke aati hain

chikhti rahti hain khamoshi mere honton par
jis tarah sahil par lahren shor machati hain

shahr mein aa kar bhi hum apni mitti kab bhule
fakhr hamein hai ai 'khalid' ke hum dehati hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close