chhupa kar sab ki nazron se sada parde mein rakkha hai

chhupa kar sab ki nazron se sada parde mein rakkha hai
hazaron raaz aise hain jinhen sine mein rakkha hai

kabhi sar ki kabhi jaan ki kabhi us zat-e-parwar ki
hamesha teri qasmon ne mujhe dhoke mein rakkha hai

yahin se rah chunne ka sabaq dena zaruri hai
abhi bachpan kitabon ki tarah baste mein rakkha hai

jahan ek dusre ko hum sada dushman samajhte hain
siyasat ne hamesha hum ko us pale mein rakkha hai

kisi bhi waqt sanson ki ye dori tut sakti hai
hamara jism to har pal kisi khate mein rakkha hai

andhera aa nahin sakta kabhi tanhai ka 'mashkur'
ujala teri yaadon ka mere kamre mein rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close