chikh ki or main khincha jaun ghup andheron mein dubta jaun kab se phirta hun is tawaqqoa par khud ko shayad kahin main pa jaun ruh tak bujh chuki hai muddat se tu jo chhu le to jagmaga jaun lamha lamha ye chhanw ghatti hai patta patta main tutta jaun dhup pi kar tamam sahra ki abr ban kar main khud pe chha jaun dukh se kaisa bhara hua hai dil us ko sochun to sochta jaun ek patta hun shakh se bichhda jaane bah kar main kis disha jaun ji mein aata hai chhod dun ye zamin aasmanon mein ja sama jaun