collage ka dalan nahin hai pyare zalim duniya hai

collage ka dalan nahin hai pyare zalim duniya hai
aur yahan sach bolne wala sach mein sab se jhuta hai

main tere didar ki khatir aa jata hun khwabon tak
warna is lazzat ke alawa nindon mein kya rakkha hai

chamkile kapdon se parkha mat kar insani lahje
gahre kuen mein ujla pani khara bhi ho sakta hai

wada kar ai dilkash ladki wasl se le kar hijr talak
rishta chahe jaisa bhi ho kharcha apna apna hai

main tere shikwe bhi jaanan bilkul aise sunta hun
jaise bachpan mein koi bachcha ghaur se qisse sunta hai

mere khafa hone par us ka wo ulta filmi jumla
pyar se dar nahin lagta sahab thappad se dar lagta hai

jab logo ne saudai ki lash utari tab bole
ye to zinda mar hi chuka tha pankhe se kyun latka hai

main is dar se coffee pine tere sath nahin jata
tujh ko to coffee ke bahane mujh se ladna hota hai

mujh ko bone the dil mein aur kisi ke gham 'afi'
lekin dil ki surkhi zamin par ab tak us ka qabza hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close