dair-o-haram ko chhoD ke ai dil chal baiTho maiKHane mein

dair-o-haram ko chhod ke ai dil chal baitho maikhane mein
khub guzar jaegi apni saqi se yarane mein

sair tabiat ho jaegi nasha jo hai howega wahi
farq nahin hai saqi hargiz chullu mein paimane mein

ruh hai jab tak jism ke andar jism pe mere raunaq hai
kashana aabaad hai jab tak bulbul hai kashane mein

dast-e-tamanna qata hua barbaad hui hai hirs-o-hawa
zist ki surat apni bandhi ai nafs tere mar jaane mein

sach hai dil ko apne bhi juz yaad sanam kuchh dhyan nahin
dekh to ai naseh kaisi hushyari hai diwane mein

fikr-e-duniya se hain chhute is ranj-e-jahan se pai najat
lakh tarah ki rahat pai ek apne mar jaane mein

pesh-e-junun-e-bakhta ai dil maut to zist se khush-tar hai
shama ke aage raqs-kunan tha parwana jal jaane mein

husn-e-nairang us mah-ru ka dil-e-hazin mein rahta hai
chashm-e-bina ho to dekhe basti hai virane mein

naqsh-e-mohabbat kahin na paya lauh-e-dil par insan ke
phira qalam ki surat se main barson ek ek khane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close