apne pindar se ghat kar nahin qaem rahta fard kirdar se hat kar nahin qaem rahta aks bat jata hai aainon mein lekin ai dil aaina aks mein bat kar nahin qaem rahta koi bhi naqsh ho kitna hi mukammal lekin waqt ki gard mein at kar nahin qaem rahta aasmanon mein udanon ka maza hoga magar koi bhi khak se kat kar nahin qaem rahta roz ek rah nai shauq-e-safar mangta hai daeron mein hi simat kar nahin qaem rahta qita-e-jaan ko jalata hua is dhup ka rang chhanw se teri lipat kar nahin qaem rahta yaad mein un ki kai bar bikhar jata hai dil bhi kya hai ki simat kar nahin qaem rahta dil wo bachcha ki isi pal mein humakna chahe ye wo lamha ki palat kar nahin qaem rahta