dam na nikla yar ki na-mehrbani dekh kar sakht hairan hun main apni sakht-jaani dekh kar sham se ta-subh-e-furqat subh se ta-sham-e-hijr hum chale kya kya na lutf-e-zindagani dekh kar yun to lakhon gham-zada honge magar ai aasman jab tujhe jaanun ki la de mera sani dekh kar ab tap-e-furqat se ye kuchh zof tari hai ki aah dang rah jati hai hum ko na-tawani dekh kar waste jis ke hue bahr-e-fana ke aashna wo pasija bhi na apni jaan-fishani dekh kar baz aa 'bimar' us ke ishq se jaane bhi de taras aata hai ye teri naujawani dekh kar