jaan jae agar to jaane de apni taswir to banane de aakhir aisi bhi kya hai had-bandi hath ko hath tak to aane de ek hi aag ka bujhana kya dusri aag bhi lagane de kya zaruri hai khud ko khoya jae pa raha hun tujhe so pane de dastaken kyun hawa pe deta hai dar-o-diwar to banane de main naya pairahan badal dunga dagh aata hai ab to aane de zindagi to hamein pasand aai ab hamein apne ghar bhi jaane de teri zulfon mein tirgi hai bahut la mujhe raushni banane de rasta gar nahin to phir 'mohsin' mujh ko be-rasta hi jaane de