dam sau rakhte hain lafzon mein suKHnawar mujhse

dam sau rakhte hain lafzon mein sukhnawar mujh se
baat kijega zara soch samajh kar mujh se

mujhe khalti nahin tanhai safar ki yun bhi
guftugu karte hain sab rah ke patthar mujh se

wo jo hain lazzat-e-tafhim-e-sukhan se waqif
sher sunte hain wahi log mukarrar mujh se

mujh ko dar tha ki kahin fasle badh jaen magar
wo qarib aa gaya kuchh aur simat kar mujh se

wo jo bichhda hai sukhan laut ke kab aaega
puchhte rahte hain ye sham ke manzar mujh se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close