daman se apne jhaD ke sahra-e-gham ki dhul

daman se apne jhad ke sahra-e-gham ki dhul
aao chalo na hum bhi chunen sarkhushi ke phul

aakhir ko mil saki na bashar ko rah-e-najat
yun to har ek daur mein aate rahe rasul

daman bacha ke aaiyo mere mazar tak
ai jaan-e-nau-bahaar uge hain idhar babul

dekha kabhi jo dahr ko shair ki aankh se
khallaq-e-kaenat bhi sadiyon raha malul

aaega koi jam mai-e-sarkhushi liye
ai dil kuchh aur der hindole mein gham ke jhul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close