uljhan mein hast-o-bud ki yun mubtala hun main

uljhan mein hast-o-bud ki yun mubtala hun main
khud apna aks hun ki tera aaina hun main

mujh ko kiya hai laiq-e-sajda isi liye
ajza-e-kaenat mein sab se juda hun main

tu ek hai magar hain tere an-ginat majaz
har aaine mein tere numayan hua hun main

tishna-labi mein zabt ho aur wo bhi us ghadi
jab ittifaq se lab-e-dariya khada hun main

manind-e-kahkashan ye mitati hai tirgi
padh kar kitab-e-ishq ko raushan hua hun main

aasudgi ko chhod wo hasil rahi mujhe
lekin mohabbaton ko tarasta raha hun main

dariya sifat bhi ho ke na sairab kar saka
barse bina jo chhat gai aisi ghata hun main

dast-e-jafa se jis ke ye wahshat mujhe mili
us ko bhi hai gila ki darinda-numa hun main

tanhai mein ek aalam-e-imkan basa liya
'adil' yun apne aap mein kuchh dhundhta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close