dar-o-diwar pe shaklen si banane aai

dar-o-diwar pe shaklen si banane aai
phir ye barish meri tanhai churane aai

zindagi bap ki manind saza deti hai
rahm-dil man ki tarah maut bachane aai

aaj kal phir dil-e-barbaad ki baaten hain wahi
hum to samjhe the ki kuchh aql thikane aai

dil mein aahat si hui ruh mein dastak gunji
kis ki khush-bu ye mujhe mere sirhane aai

main ne jab pahle-pahal apna watan chhoda tha
dur tak mujh ko ek aawaz bulane aai

teri manind teri yaad bhi zalim nikli
jab bhi aai hai mera dil hi dukhane aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close