jo shakhs sare zamane ka ranj sahta tha wo aaj rah mein misl-e-ghubar baitha tha yun but bana wo khada tha ki kya bataun tumhein main us ko chhune se pahle khayal samjha tha main so raha tha ki wo khwab mujh pe tut pada main kaise bach ke nikalta ki main to andha tha hazar nam the jo lauh-e-dil pe likkhe the magar wo nam ki jaise charagh jalta tha baras raha tha qayamat ka abr sar pe mere magar ye baat ajab thi main phir bhi pyasa tha na us ne mujh se kaha tha ki thahro ruk jao na sang-e-surkh ko main ne palat ke dekha tha bala-e-shahr mujhe dhundhti thi galiyon mein main apne-ap ko ghar mein chhupae baitha tha hawa-e-sarw ne patthar chalae the kya kya hara-bhara wo shajar ek pal mein nanga tha sabhi se milta hai lekin wo ab kisi ka nahin 'azim' tum ne bhi dekha ki wo tumhaara tha