dard apnata hai parae kaun kaun sunta hai aur sunae kaun kaun dohrae phir wahi baaten gham abhi soya hai jagae kaun ab sukun hai to bhulne mein hai lekin us shakhs ko bhulae kaun wo jo apne hain kya wo apne hain kaun dukh jhele aazmae kaun aaj phir dil hai kuchh udas udas dekhiye aaj yaad aae kaun