dard ke phul bhi khilte hain bikhar jate hain

dard ke phul bhi khilte hain bikhar jate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jate hain

rasta roke khadi hai yahi uljhan kab se
koi puchhe to kahen kya ki kidhar jate hain

chhat ki kadiyon se utarte hain mere khwab magar
meri diwaron se takra ke bikhar jate hain

narm alfaz bhali baaten mohazzab lahje
pahli barish hi mein ye rang utar jate hain

us dariche mein bhi ab koi nahin aur hum bhi
sar jhukae hue chup-chap guzar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close