dard paya hai to ek dard aashna bhi chahiye

dard paya hai to ek dard aashna bhi chahiye
pattharon ke is nagar mein aaina bhi chahiye

jis ki mahfil mein sunai din qayamat ke huruf
ek aisa paikar-e-saut-o-sada bhi chahiye

main to wo insan hun jis ki wafa se hai gharaz
baz logon ko magar dad-e-wafa bhi chahiye

khak-dan par zulm hai bechaargi hai khauf hai
charkh par ek malik-e-arz-o-saman bhi chahiye

in dinon yun to hai sab ko sang ho jaane ka shauq
aaina-khane mein rahne ki jagah bhi chahiye

rut badalne se nahin 'bedi' kisi ko bhi gharaz
sab ko lekin kuchh alag aab-o-hawa bhi chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close