kisi ne bheja hai khat pyar aur wafa likh kar qalam se kaam diya hai mujhe khuda likh kar faqat salam hi likhta tha ped ko khat mein main aaj khush hun bahut phul ko dua likh kar mujhe bacha ke na kar adl ka lahu ai dost qalam ko tod meri maut ki saza likh kar mujhe charaghon ke bujhne ka gham to hai lekin mera zamir hai zinda tujhe hawa likh kar tum aasman ko agar likh sako zamin to phir gira do mujh ko mere fan pe tabsira likh kar