darwaze ke andar ek darwaza aur chhupa hua hai mujh mein jaane kya kya aur koi ant nahin man ke sune-pan ka sannate ke par hai ek sannata aur kabhi to lagta hai jitna hai kafi hai aur kabhi lagta hai aur zara sa aur sach kahne par khush hona to dur raha kiya zamane ne mujh ko sharminda aur ajab musafir hun main mera safar ajib meri manzil aur hai mera rasta aur auron jaise aur na jaane kitne hain koi kahan hai lekin mere jaisa aur