nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain

nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain
apni duniya mein to bas diwaren hain zanjiren hain

rishte hain parchhain jaise ummiden hain sarabon si
banti hain mitti hain pal pal ye kaisi taswiren hain

badh kar hain shaitanon se bhi insanon ke kaam yahan
honton par phulon si baaten hathon mein shamshiren hain

ye kaisa insaf hai yarab kaisa khel hai qismat ka
kuchh hathon mein rang-e-hina hai kuchh mein sirf lakiren hain

'azim' pyar ki nagri se kuchh khwab chura kar le aao
us nagri mein sunte hain kuchh ranjhe hain kuchh hiren hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close