dasht-e-wahshat mein hamara ab hua hai bud-o-bash sar phirane ko abas sayyaad karta hai talash sarzanish aalam ki aur sang-e-jafa tere se aah shayad ab mina-e-dil hota hai zalim pash pash ye abhi pal mein tujhe barbaad kar den mohtasib dekh nahaq mai-kashon ke bhed ko karta hai fash yun dimagh ab kis ka yari de jo shayad kijiye pas ja munim ke baithe jo kabhi bahr-e-maash sher kahne ka saliqa kuchh nahin hai 'imtiyaz' hai magar itna ki ye rakhta hai tuk gham ka tarash