dil mein paigham-e-mohabbat sa utara jaun is se pahle ki kisi bhid mein mara jaun wasl ki chah mein ye hijr kamaya main ne hijr ko kharch karun zist se haara jaun ruthi taqdir hun to mujh ko manaya jae aur gar bigda muqaddar hun sanwara jaun ek arse se khalaon se sada aati hai aisa lagta hai mujhe us ne pukara jaun main nahin un mein ki jo khud ko kisi par thopen bhar gaya mujh se agar dil ye tumhaara jaun ab yahan pahle si jazbaat mein shiddat na rahi ab yahan hoga nahin apna guzara jaun de khuda kash use dil ki masihai 'shahab' aur sahifon sa main phir us pe utara jaun