dast-e-hunar jhaTakte hi zaea hunar gaya

dast-e-hunar jhatakte hi zaea hunar gaya
chaaragari nahin rahi jab chaara-gar gaya

hasti se mil gaya mujhe kuchh nisti ka fahm
sahra wahan mila jahan dariya utar gaya

kya ho sake hisab ki jab aagahi kahe
ab tak to raegani mein sara safar gaya

wo ek jazba jis ne jamal-ashna kiya
manzar hata to jism ke andar hi mar gaya

shayad sar-e-hayat mujhe aa mile kabhi
ek shakhs mere jaisa na jaane kidhar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close