dastaken sunte hain sab dar kholta koi nahin khauf ghar main is qadar hai bolta koi nahin ek hujum-e-tairan hai be-sakat be-hausla baal-o-par hote hue par tolta koi nahin ai nigar-e-subh teri kar-farmai ki khair ab rag-o-pai mein andhere gholta koi nahin ai kanar-e-bahr ye be-e'tinai kis liye sipiyan maujud hain aur rolta koi nahin istaqamat hai qayamat ki sar-e-dariya-e-gham har safina mauj par hai dolta koi nahin