dastan-e-shama thi ya qissa-e-parwana tha anjuman mein ishq hi unwan har afsana tha justaju-e-dair-o-kaba se hua zahir yahi main haqiqat mein khud apni zat se begana tha meri hasti thi ba-zat-e-khud mukammal mai-kada main kabhi shisha kabhi saghar kabhi paimana tha hae wo ayyam-e-tifli hae wo ahd-e-shabab khwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha bad-gumani se hua apne parae ka guman warna apna tha na duniya mein koi begana tha chashm-e-bina hi na thi teri wagarna ai kalim zarre zarre mein zuhur-e-jalwa-e-jaanana tha mahfil-e-hasti mein dekha hai yahi hum ne 'jalis' jis ko jitna hosh tha utna hi wo diwana tha