allah allah wasl ki shab is qadar eajaz hai ek zara si chiz hai us par bhi itna naz hai khair ho yarab ke husn-o-ishq ka aaghaz hai is taraf dil hai udhar susari nigah-e-naz hai jab bahaar aai mue pinjre chaman ko ud gaya is musibat par bhi itni quwwat-e-parwaz hai chhut gain nabzen hue lab band putli phir gain aur wo mardud kahta hai ki ye dam-baz hai ghair ne mujh ko sata kar jail ki khai hawa ye na samjha tha ki us ka latth be-awaz hai jab kaha us ne ki uth be-jhat main zinda ho gaya baat ki to baat hai eajaz ka eajaz hai tod kar badnam tum dil ko mere ho jaoge is mein poshida mohabbat ka tumhaari raaz hai ghair ko lae hain mere ghar wo mae bistare bhed is mein bhi koi us mein bhi koi raaz hai ishq mein paida nahin hota hai sasura inqalab husn de jata hai dhoka husn dhoka-baz hai ab koi din bhi budhapa thokaren khilwaega husn hai chand roza jis pe tum ko naz hai noch kar mere paron ko kar diya hai dand-mand ab na qawwe hai na mujh mein taqat-e-parwaz hai wasl ki shab chaar-dam chhalle bhi un ke sath hain yani shokhi hai shararat hai haya hai naz hai ghair ki kuchh haisiyat bhi aap ko malum hai khud hai chaukidar baada us ka barfandaz hai meri fariyaad-o-fughan sun kar harami ne kaha ye usi ullu-ke-patthe 'bum' ki aawaz hai