dawa to kiya husn-e-jahan-soz ka sab ne

dawa to kiya husn-e-jahan-soz ka sab ne
duniya ka magar rup badhaya teri chhab ne

tu nind mein bhi meri taraf dekh raha tha
sone na diya mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne

har zakhm pe dekhi hain tere pyar ki mohren
ye gul bhi khilae hain teri surkhi-e-lab ne

khushbu-e-badan aai hai phir mauj-e-saba se
phir kis ko pukara hai tere shahr tarab ne

darkar hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum
patthar se agar phul ugae mere rab ne

wo husn hai insan ki meraj-e-tasawwur
jis husn ko puja hai mere sher o adab ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close