dayar-e-KHwab ko niklunga sar uTha kar main

dayar-e-khwab ko niklunga sar utha kar main
ki shad rahta hun ranj-e-safar utha kar main

charagh jal na sakega jo us ki aankhon mein
dharunga us ko kisi taq par utha kar main

suna hai takht muqaddar se hath aata hai
khajil hun rahat-e-tegh-o-sipar utha kar main

chale jo sarw-o-saman mein bhi sath chal dunga
khada rahunga na bar-e-samar utha kar main

tere bahisht mein dil lag nahin raha mera
ki sath la nahin paya hun ghar utha kar main

ulajh raha ho agar ghair ki nigahon se
lapet leta hun tar-e-nazar utha kar main

alag nahin hun main apni tarah ke logon se
pada hun zahmat-e-diwar-o-dar utha kar main

nahin sununga nasihat kisi siyane ki
rahunga tohmat-e-nau-e-bashar utha kar main

yaqin kaise nahin aaega unhen mujh par
wafa mein fard hun khauf-o-khatar utha kar main

kahin visal ki surat agar dikhai di
nikal padunga na sham-e-sahar utha kar main

kisi pari ke tasawwur mein chum leta hun
kisi gulab ko bar-e-digar utha kar main

bahut hain chahne wale mere jahan-bhar mein
girafta dil nahin bar-e-hunar utha kar main

makan chhod to dun us hasin ke kahne par
gali mein launga kya kya magar utha kar main

mujhe wo taish dilate rahe agar 'sajid'
to gundh dunga ye sara nagar utha kar main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close