dayar-e-shahid-e-bilqis-ada se aaya hun main ek faqir hun shahr-e-saba se aaya hun jahan-e-nau ki talab aur is kharabe mein sawad-e-istakhr-o-nainwa se aaya hun shab-e-siyah-e-khizan ke sumum-o-sar-sar tak nigar-khana-e-shubh-o-saba se aaya hun abhi kahan hai mujhe nauha-o-nawa ka shuur ki ek nahiya-e-be-nawa se aaya hun mere rumuz ka irfan kise nasib ki main sarosh-e-ruh-e-azal hun sama se aaya hun damak rahi hai zaman-o-makan ki peshani sitara-e-abadi hun khala se aaya hun tumhaare ghuncha-o-gul se gharaz nahin mujh ko idhar ishaara-e-baad-e-saba se aaya hun