dayar-e-shauq mein aae the ek KHwab ke sath

dayar-e-shauq mein aae the ek khwab ke sath
guzar rahi hai musalsal kisi azab ke sath

hum ahl-e-dard pukare gae sahifon mein
hum ahl-e-ishq utare gae kitab ke sath

phir ek sham pazirai chashm-e-tar ki hui
phir ek sham guzari gai janab ke sath

hamein ye khauf andhere nigal na jaen kahin
so hum ne jism ko dhanpa hai aaftab ke sath

mukalima raha jari hamari aankhon ka
badan ki shakh pe khilte hue gulab ke sath

kuchh aur chahiye tishna-labi mitane ko
ye pyas wo hai jo bujhti nahin sharab ke sath

'zaim' wo meri dariya-dili se darta hai
wo mujh se milta hai lekin bade hisab ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close