tere firaq mein ghutnon chali hai tanhai khayal o khwab mein phuli-phali hai tanhai tere khayal tere hijr ke wasile se tasawwuraat mein hum se mili hai tanhai jamal-e-yar mein khoya hua hai sannata khayal-e-yar mein dubi hui hai tanhai kisi ke shokh badan ki zaruraton ki tarah tamam raat sulagti rahi hai tanhai tumhaari zulf-e-moambar ka aasra le kar hamari fikr o nazar mein pali hai tanhai shab-e-firaq ke mare nahin ho tum parwaz tumhaari fikr pe kyun jam gai hai tanhai