dayar-e-yaad mein lani padi teri taswir phir aansuon se banani padi teri taswir ye baat aur banai thi chhanw mein lekin shadid dhup mein lani padi teri taswir bas ek pal ke chidhane ke lutf ki khatir zara buri si banani padi teri taswir jo kapkapate hue hath se chhua tujh ko haya ke rang se dhani padi teri taswir wo mera dost bahut khas tha magar jaanan gala pakad ke chhudani padi teri taswir