dekh dariya hai kinare ko sambhaal ye mohabbat ye mohabbat ka zawal is zamane ko taras jaenge hum aah ye tishnagi-e-hijr-o-visal mithi baaton se ada jagti hai naram aankhon mein sanwarte hain khayal zakhm bigde to badan kat ke phenk warna kanta bhi mohabbat se nikal aap ki yaad bhi aa jati hai itni mahrum nahin bazm-e-khayal khat jo aaya hai unhin ka hoga han zara aaj tabiat thi bahaal hae phir fasl-e-bahaar aai 'khizan' kabhi marna kabhi jina hai muhaal